Saturday, 17 December 2011

Romantic Urdu Poetry

Romantic Urdu Poetry :
I would like to share some beautiful romantic urdu poetry. This romantic urdu poetry is my selection and i want to share it with you people. This Urdu Poetry is collected from some other sites and is free to be shared and used.
 Romantic Urdu Poetry | Shair:
Here is a romantic urdu shair beautifully designed.



Romantic Urdu Poetry | Nazm:
Second of two is the Romantic Urdu Poetry's genre called Nazm...
Its a beautiful one and also is designed so beautifully, the placement and frame all are very much matching and adding so much beauty ro this romantic urdu poetry.

Kiun tum yad atay ho itna,
kiun ham ko tum tarpaty ho itna..
gum sun gum sum hain sheher say ham,
kiun itna hamain sataty ho,
tumhain khayaloun say agar nukal bhi dain,
to khuwab main ajaty ho,
ham lab say nahi karty izhar e muhabbat
kiun ankhain nahi parh paty ho,,,
Hope you like all this romantic urdu poetry.

Wednesday, 28 September 2011

Bullehya ki janan main kon

Bullah! ki jaana maen kaun
Na maen momin vich maseet aan
Na maen vich kufar diyan reet aan
Na maen paakaan vich paleet aan
Na maen moosa na pharaun.....[continued]


English Translation INCLUDED


Best Punjabi Poetry

Saturday, 17 September 2011

Urdu Poetry | Urdu Ashaar

Shab e gham ki talkhium ko, meray dil se koi poochay,
Teri raah taktay takty jisay subha ho gai ha,
Two verses of Sad Urdu Poetry, a Sad Urdu Shair, some time a single shair touches the core of the heart and feels like the feelings are mine which rae presented by poet.
shab e gham
Urdu Poetry | Urdu Ashaar

Tuesday, 6 September 2011

Urdu Sad Poetry | Sad Urdu Poetry

Very Beautiful poetry. Urdu sad poetry and translated and explained also...
Urdu Sad Poetry | Sad Urdu Poetry
A  shair of Urdu sad poetry where a lover is in grief and sorrow. That must have been painful whenever you remind me,[.....]

Tuesday, 23 August 2011

History of Urdu Poetry

History of Urdu Poetry
Thirteenth century was the starting century of Urdu Poetry. That was the time when people started to innovate with Urdu and one of those is.... Urdu Poetry gradually....
History of Urdu Poetry, audio poetry, video poetry, Urdu Poetry, Mushairas, classic urdu poetry, modern urdu poetry, popular urdu poetry, classic poets, popuplar poets, definition of mushaira, Ameer khusro Poetry
Urdu Poetry History

Sunday, 7 August 2011

Urdu Ghazal | Tum jo bichray

Urdu Ghazal | Tum jo bichray
best urdu ghazal, Hijr poetry, Mazhar ul haq, Sad Urdu Poetry, Tum jo bichray, unique urdu poetry, Urdu ghazal

Friday, 5 August 2011

Sad Urdu Ghazal | Sad Urdu Poetry

Sad Urdu Ghazal | Sad Urdu Poetry
best collection of urdu poetry, bichaye jal kahin jamaa aab o dana kia, Designed Poetry, sad poetry, sad urdu ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu ghazal, urdu poetry

Thursday, 14 July 2011

Urdu Poetry

ham nazuk nazuk dil walay
bas aisay hi to hotay hain
kabhi hasty hain kabhi rotay hain
kabhi dil main khuwab piroty hain

Urdu Poetry

Wednesday, 15 June 2011

Urdu Poetry Shairs collection

ahmed faraz poetry, Allama Iqbal poetry, best collection of Urdu Poetry shairs, deep urdu poetry, Munir Niyazi poetry, parveen shakir poetry, urdu poetry, urdu shairs collection, urdu shayari

Thursday, 28 April 2011

sad urdu poetry pictures

Collection of Sad Urdu Poetry

A best collection of sad urdu poetry ghazals, nazms and ashaar. There are romantic ghazals, nazms and shairs are very delicately designed and given the good combination of pictures. Many romantic and lovely poetry is also included. All the Urdu poetry is very well balanced and is written by famous poets.

dil main kya kya hawas e deed barhae na gai

tulu e husan ka manzar chupa dia jaye



hamsafar koi bhi nahi 

Gol:

Monday, 25 April 2011

http://wp.me/p1pHiZ-5k
Urdu Poetry | sagar tughyani
uthi sagar main tughyani kinary mit gye sary...

Wednesday, 13 April 2011

Urdu Ghazal | abhi wo dard baki ha

abhi wo dard baki ha
abhi wo dard baki ha,

agarcha waqt marham ha,

magar kuch waqt lagta ha,

kisi ko bhool jany main,

dubara dil basaanay main,

abhi kuch waqt lagna ha,

abhi wo dard baki ha,

main kesay naye ulfat main,

apni zaat ko gum kar doon,

k meray jism o jan main,

abhi wo shakhs baki ha,

abhi us shakhs ki mujh per,

nigah e sard baki ha,

abhi to ishq k rastoon ki,

mujh per gard baki ha,

abhi wo dard baki ha,

Urdu Nazm | anaa k sath kuch lamhay

Anaa
Anaa k sath kuch lamhay bitana thik ha lekin,
anaa k sath sab lamhay bitana sakht mushkil ha,
kamaan main us ki teerun ka khazana kam nahi hota,
khata uska nushana ko,
ye mumkin hi nahi janaan,
anaa k hath se tootay hua tar,
y kabhi jurty huay nahi dekhy,
samandar k kinary jis tarah milty nahi dekhay,

Anaa k sath kuch lamhay bitana thik ha lekin,
anaa k sath sab lamhay bitana sakht mushkil ha,

Best urdu ghazal | bat muhabbat ki

yad tumhari ati ha
bat muhabbat ki chalti ha, jab yad tumhari ati ha,
rat ankhon main kat ti ha jab yad tumhari ati ha,

Urdu Poem | mara dushwar hota ha

 
zara sa faisla karna
bara dushwar hota ha,
zara sa faisla karna,
kay jeewan ki kahani ko...

Urdu Poetry | Ay ishq

Aey ishq




Yoon dil na milay,
na dard uthay,
mat roz milo to acha ha,
na pyar barhay na jhagra ho,
tum door baso to acha ha,
kisi phool say hansty chehry ko,
meri dunia dekhna chahy gi,
jo pas tumhary kuch bhi nahi,
parday main raho to acha ha,
is pyar ki sundar banhoon main,
ab banhain dal  k so bhi chuko,........

Urdu Poetry | Wo aey ghar main hamary

Wo aey ghar main hamary khuda ki kuqrat ha,
kabhi ham unki kabhi apnay ghar ko dekhty hain,

Designed Urdu Poetry

 Abhi tak saada rakha ha ye kaghaz apni chahat ka,
munasib jab bhi samjhain gy koi paigham likh dain gy,

koi paigham kya likhna ha ik chotay say kaghaz per,
jisay ham chahty hain bs usi ka nam likh dain gy,

Saturday, 9 April 2011

Poetry | Ghazal and nazms

Designd urdu Poetry Post, All the poetry here is well designed and decorated with beautiful images. poetry includes heart breaking poetry, grief, love, romantic , sad and all other types of ghazals and nazms are added in this section all are designed well.

Ankhain Poetry

Dil aasaib
Najany kon sa aasaib dil main rehta ha,
jo bhi aa k thehra makaan chor gya,


Allama Iqbal

Allama Iqbal
teray aazad bandoon ki na ye dunia na wo dunia,
yahan marnay ki pabandi, wahan jeenay ki pabandi,


Thursday, 7 April 2011

Sad Urdu Shair

Tum laot kar anay ka takalluf bhi na karna,
ham aik muhabbat ko dubara nahin karty,

Tuesday, 5 April 2011

Urdu Ghazal

Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,

kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

Sunday, 3 April 2011

Sad Urdu Poetry

Ab kay tajdeed e wafa ka nahi imkaan janaan,
yad kya tujh ko dilain tera paiman janaan,
yoon hi mosam ki ada dekh k yaad aya ha,
kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan,
zindagi tery liay thi so teray nam ki ha,
ham ne jesay bhi basar ki tera ehsaan janaan,
dil ye kehta ha k shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karain dil to ha nadaan janaan,

Sunday, 27 March 2011

Urdu Ghazal | Fiza kay sard lehjay ki




fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain,
gaye lamhon ki huwahesh main hwain raqs karti hain,

sitary toot tay hain jab to ghar k eik konay main.,
kisi k surkh hontun per duaen raqs karti hain.,

kai basty gharoun per ik sannata sa chaya ha,
kai khali makanoun main sadain raqs karti hain,

suna ha rak kay pichlay peher darya k hontun per,
kisi kachay gharray pe kuch wafain raqs karti hain,

tumhain maloom ha k be-khabar barsaat k agay,
kaii kachay gharoun main iltijaain raqs karti hain,

hamara aftaab aey to darya k kinary per,
fizaa main tairti chanchal shuwain raqs karti hain,

Thursday, 24 March 2011

Udas dil ki udas batain...

Sad Urdu Poetry
Udas dil ki, Udas batain,
samajhnay wala, Koi to hota,
k jis ki baton se, dil sambhalta,
k jis ki sangta main, dil behelta,
k jis ki choti si ik jhalak bhi,
hamary dil ko samait deti,
falak se khushiyan undail deti,
ya us ki nazuk si muskurahat,
hamary dil ki shabhi thakawat, utad deti,
ya phir chamakti, wo ankhain uski,
hamari hasti ka raz hotin,
hamary dukh ki kitab hotin,
jo ham ko chahta, hamee ko parhta,
guzartay lamhoon ki sakhtioun main,
koi to nazuk mizaj hota,
koi to hota………………………

Friday, 18 March 2011

Sad Urdu Poetry

Sad Urdu Poetry
Naey Dinon kay naey safar main,
khamosh chup chaap,
kuch na kehti,
In sa'atoon nay,
saomp daly naey taqazay rafaqatoon kay,
Dehan rakhna,
kay apnay hissay k sab taqazay nibahny hain,
Sath chalty huay safar main,
Har ik dagar main,
Chahatoon kay ghulab likhna,
Waraq waraq aetmad jis main,
kharaf kharaf main ho jan nisari,
nai khushiyan, naey manazir,
nai manazir naey khawalay,
Bas aik aisi hi muhabbatoon ki kitab likhna,
naey dinon kay naey safar main....