Showing posts with label Sad Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Urdu Poetry. Show all posts

Wednesday, 11 April 2012

Picture Poetry

Some Sad Poetry in Pictures:

Let me share with you some awesome Picture poetry in Urdu. I have collected so many pictures from all around the world wide web and sharing some with you people. I have also find an awesome site for sad Poetry that is having some really great sad poetry and Urdu poetry wallpapers. You should visit this site an see the beauty if the site and uniqueness of the poetry.

Picture Poetry:

Here they come... First one is a very beautiful Urdu poem. 

Youn dil na lagay na dard uthay, na roz milo to acha hai,

Na pyar barhay na jhagra ho, tum door baso to acha hai,
 
Kisi phool say miltay chehray ko meri dunya dekhna chahay gi, 

jo pas tumhary kuch bhi nahi, parday main raho to acha hai,

In pyar ki sundar banhoun main, banhain dal kay so bhi chuko,

yoon ji ji kay ab marnay say mar mar k jiyo to acha hai,

lay kar zanjeerain hathoun main, kuch log tumhari taaq main hain,

aey "ISHQ" hamari galiyoun main na our phiro to acha hai.

Here is another very beautiful poetry picture.
Kiun hamain kisi ki talash hoti hai,
kiun dil ko kisi ki aas hoti hai,
chand ko dekho, wo bhi tanha hai,
magar phir bhi chandani se roshan
us ki rat hoti hai,,,,,
 And this one is a great piece a Master piece

Ek bar hi chahat ki saza kiun nahi detay,
zinda hain to marnay ki dua kiun nahi detay,


Sunday, 25 March 2012

Kuch Ashaar

Thi Door Manzil, Musafton Me Kati Hy Umr-E-Shabab Apni....
Wo Pass Rehta, Wo Pass Rakhta, Wafa Nibhata To Kia Bura Tha..

Chand tasweer-e-butaan, chand hasino k khtoot,
baad marney k mere ghar se ye samaan nikla,,,

Dil-e-ushaaq ki khabar lena ,,,
Phool khiltey hain inn mahinoN mei,,,

Na'sihou Yu Bhi Tu Marjatay Hain ,
Ishq Sey Mjhko Daratay Kyu Ho,,,,

Sunday, 27 March 2011

Urdu Ghazal | Fiza kay sard lehjay ki




fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain,
gaye lamhon ki huwahesh main hwain raqs karti hain,

sitary toot tay hain jab to ghar k eik konay main.,
kisi k surkh hontun per duaen raqs karti hain.,

kai basty gharoun per ik sannata sa chaya ha,
kai khali makanoun main sadain raqs karti hain,

suna ha rak kay pichlay peher darya k hontun per,
kisi kachay gharray pe kuch wafain raqs karti hain,

tumhain maloom ha k be-khabar barsaat k agay,
kaii kachay gharoun main iltijaain raqs karti hain,

hamara aftaab aey to darya k kinary per,
fizaa main tairti chanchal shuwain raqs karti hain,

Thursday, 24 March 2011

Udas dil ki udas batain...

Sad Urdu Poetry
Udas dil ki, Udas batain,
samajhnay wala, Koi to hota,
k jis ki baton se, dil sambhalta,
k jis ki sangta main, dil behelta,
k jis ki choti si ik jhalak bhi,
hamary dil ko samait deti,
falak se khushiyan undail deti,
ya us ki nazuk si muskurahat,
hamary dil ki shabhi thakawat, utad deti,
ya phir chamakti, wo ankhain uski,
hamari hasti ka raz hotin,
hamary dukh ki kitab hotin,
jo ham ko chahta, hamee ko parhta,
guzartay lamhoon ki sakhtioun main,
koi to nazuk mizaj hota,
koi to hota………………………

Wednesday, 16 March 2011

Urdu Ghazal | http://www.sadurdupoetry.com