Showing posts with label Designed Poetry. Show all posts
Showing posts with label Designed Poetry. Show all posts

Wednesday, 11 April 2012

Picture Poetry

Some Sad Poetry in Pictures:

Let me share with you some awesome Picture poetry in Urdu. I have collected so many pictures from all around the world wide web and sharing some with you people. I have also find an awesome site for sad Poetry that is having some really great sad poetry and Urdu poetry wallpapers. You should visit this site an see the beauty if the site and uniqueness of the poetry.

Picture Poetry:

Here they come... First one is a very beautiful Urdu poem. 

Youn dil na lagay na dard uthay, na roz milo to acha hai,

Na pyar barhay na jhagra ho, tum door baso to acha hai,
 
Kisi phool say miltay chehray ko meri dunya dekhna chahay gi, 

jo pas tumhary kuch bhi nahi, parday main raho to acha hai,

In pyar ki sundar banhoun main, banhain dal kay so bhi chuko,

yoon ji ji kay ab marnay say mar mar k jiyo to acha hai,

lay kar zanjeerain hathoun main, kuch log tumhari taaq main hain,

aey "ISHQ" hamari galiyoun main na our phiro to acha hai.

Here is another very beautiful poetry picture.
Kiun hamain kisi ki talash hoti hai,
kiun dil ko kisi ki aas hoti hai,
chand ko dekho, wo bhi tanha hai,
magar phir bhi chandani se roshan
us ki rat hoti hai,,,,,
 And this one is a great piece a Master piece

Ek bar hi chahat ki saza kiun nahi detay,
zinda hain to marnay ki dua kiun nahi detay,


Saturday, 17 December 2011

Romantic Urdu Poetry

Romantic Urdu Poetry :
I would like to share some beautiful romantic urdu poetry. This romantic urdu poetry is my selection and i want to share it with you people. This Urdu Poetry is collected from some other sites and is free to be shared and used.
 Romantic Urdu Poetry | Shair:
Here is a romantic urdu shair beautifully designed.



Romantic Urdu Poetry | Nazm:
Second of two is the Romantic Urdu Poetry's genre called Nazm...
Its a beautiful one and also is designed so beautifully, the placement and frame all are very much matching and adding so much beauty ro this romantic urdu poetry.

Kiun tum yad atay ho itna,
kiun ham ko tum tarpaty ho itna..
gum sun gum sum hain sheher say ham,
kiun itna hamain sataty ho,
tumhain khayaloun say agar nukal bhi dain,
to khuwab main ajaty ho,
ham lab say nahi karty izhar e muhabbat
kiun ankhain nahi parh paty ho,,,
Hope you like all this romantic urdu poetry.

Thursday, 28 April 2011

sad urdu poetry pictures

Collection of Sad Urdu Poetry

A best collection of sad urdu poetry ghazals, nazms and ashaar. There are romantic ghazals, nazms and shairs are very delicately designed and given the good combination of pictures. Many romantic and lovely poetry is also included. All the Urdu poetry is very well balanced and is written by famous poets.

dil main kya kya hawas e deed barhae na gai

tulu e husan ka manzar chupa dia jaye



hamsafar koi bhi nahi 

Gol:

Wednesday, 13 April 2011

Urdu Ghazal | abhi wo dard baki ha

abhi wo dard baki ha
abhi wo dard baki ha,

agarcha waqt marham ha,

magar kuch waqt lagta ha,

kisi ko bhool jany main,

dubara dil basaanay main,

abhi kuch waqt lagna ha,

abhi wo dard baki ha,

main kesay naye ulfat main,

apni zaat ko gum kar doon,

k meray jism o jan main,

abhi wo shakhs baki ha,

abhi us shakhs ki mujh per,

nigah e sard baki ha,

abhi to ishq k rastoon ki,

mujh per gard baki ha,

abhi wo dard baki ha,

Urdu Nazm | anaa k sath kuch lamhay

Anaa
Anaa k sath kuch lamhay bitana thik ha lekin,
anaa k sath sab lamhay bitana sakht mushkil ha,
kamaan main us ki teerun ka khazana kam nahi hota,
khata uska nushana ko,
ye mumkin hi nahi janaan,
anaa k hath se tootay hua tar,
y kabhi jurty huay nahi dekhy,
samandar k kinary jis tarah milty nahi dekhay,

Anaa k sath kuch lamhay bitana thik ha lekin,
anaa k sath sab lamhay bitana sakht mushkil ha,

Best urdu ghazal | bat muhabbat ki

yad tumhari ati ha
bat muhabbat ki chalti ha, jab yad tumhari ati ha,
rat ankhon main kat ti ha jab yad tumhari ati ha,

Urdu Poem | mara dushwar hota ha

 
zara sa faisla karna
bara dushwar hota ha,
zara sa faisla karna,
kay jeewan ki kahani ko...

Urdu Poetry | Ay ishq

Aey ishq




Yoon dil na milay,
na dard uthay,
mat roz milo to acha ha,
na pyar barhay na jhagra ho,
tum door baso to acha ha,
kisi phool say hansty chehry ko,
meri dunia dekhna chahy gi,
jo pas tumhary kuch bhi nahi,
parday main raho to acha ha,
is pyar ki sundar banhoon main,
ab banhain dal  k so bhi chuko,........

Urdu Poetry | Wo aey ghar main hamary

Wo aey ghar main hamary khuda ki kuqrat ha,
kabhi ham unki kabhi apnay ghar ko dekhty hain,

Designed Urdu Poetry

 Abhi tak saada rakha ha ye kaghaz apni chahat ka,
munasib jab bhi samjhain gy koi paigham likh dain gy,

koi paigham kya likhna ha ik chotay say kaghaz per,
jisay ham chahty hain bs usi ka nam likh dain gy,

Saturday, 9 April 2011

Poetry | Ghazal and nazms

Designd urdu Poetry Post, All the poetry here is well designed and decorated with beautiful images. poetry includes heart breaking poetry, grief, love, romantic , sad and all other types of ghazals and nazms are added in this section all are designed well.

Ankhain Poetry

Dil aasaib
Najany kon sa aasaib dil main rehta ha,
jo bhi aa k thehra makaan chor gya,


Allama Iqbal

Allama Iqbal
teray aazad bandoon ki na ye dunia na wo dunia,
yahan marnay ki pabandi, wahan jeenay ki pabandi,


Thursday, 7 April 2011

Sad Urdu Shair

Tum laot kar anay ka takalluf bhi na karna,
ham aik muhabbat ko dubara nahin karty,

Sunday, 3 April 2011

Sad Urdu Poetry

Ab kay tajdeed e wafa ka nahi imkaan janaan,
yad kya tujh ko dilain tera paiman janaan,
yoon hi mosam ki ada dekh k yaad aya ha,
kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan,
zindagi tery liay thi so teray nam ki ha,
ham ne jesay bhi basar ki tera ehsaan janaan,
dil ye kehta ha k shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karain dil to ha nadaan janaan,

Thursday, 24 March 2011

Udas dil ki udas batain...

Sad Urdu Poetry
Udas dil ki, Udas batain,
samajhnay wala, Koi to hota,
k jis ki baton se, dil sambhalta,
k jis ki sangta main, dil behelta,
k jis ki choti si ik jhalak bhi,
hamary dil ko samait deti,
falak se khushiyan undail deti,
ya us ki nazuk si muskurahat,
hamary dil ki shabhi thakawat, utad deti,
ya phir chamakti, wo ankhain uski,
hamari hasti ka raz hotin,
hamary dukh ki kitab hotin,
jo ham ko chahta, hamee ko parhta,
guzartay lamhoon ki sakhtioun main,
koi to nazuk mizaj hota,
koi to hota………………………

Friday, 18 March 2011

Sad Urdu Poetry

Sad Urdu Poetry
Naey Dinon kay naey safar main,
khamosh chup chaap,
kuch na kehti,
In sa'atoon nay,
saomp daly naey taqazay rafaqatoon kay,
Dehan rakhna,
kay apnay hissay k sab taqazay nibahny hain,
Sath chalty huay safar main,
Har ik dagar main,
Chahatoon kay ghulab likhna,
Waraq waraq aetmad jis main,
kharaf kharaf main ho jan nisari,
nai khushiyan, naey manazir,
nai manazir naey khawalay,
Bas aik aisi hi muhabbatoon ki kitab likhna,
naey dinon kay naey safar main....