Showing posts with label ghazal. Show all posts
Showing posts with label ghazal. Show all posts

Sunday, 25 March 2012

Kuch Ashaar

Thi Door Manzil, Musafton Me Kati Hy Umr-E-Shabab Apni....
Wo Pass Rehta, Wo Pass Rakhta, Wafa Nibhata To Kia Bura Tha..

Chand tasweer-e-butaan, chand hasino k khtoot,
baad marney k mere ghar se ye samaan nikla,,,

Dil-e-ushaaq ki khabar lena ,,,
Phool khiltey hain inn mahinoN mei,,,

Na'sihou Yu Bhi Tu Marjatay Hain ,
Ishq Sey Mjhko Daratay Kyu Ho,,,,

Thursday, 7 April 2011

Sad Urdu Shair

Tum laot kar anay ka takalluf bhi na karna,
ham aik muhabbat ko dubara nahin karty,

Tuesday, 5 April 2011

Urdu Ghazal

Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,

kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

Sunday, 27 March 2011

Urdu Ghazal | Fiza kay sard lehjay ki




fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain,
gaye lamhon ki huwahesh main hwain raqs karti hain,

sitary toot tay hain jab to ghar k eik konay main.,
kisi k surkh hontun per duaen raqs karti hain.,

kai basty gharoun per ik sannata sa chaya ha,
kai khali makanoun main sadain raqs karti hain,

suna ha rak kay pichlay peher darya k hontun per,
kisi kachay gharray pe kuch wafain raqs karti hain,

tumhain maloom ha k be-khabar barsaat k agay,
kaii kachay gharoun main iltijaain raqs karti hain,

hamara aftaab aey to darya k kinary per,
fizaa main tairti chanchal shuwain raqs karti hain,