Saturday 9 April 2011

Poetry | Ghazal and nazms

Designd urdu Poetry Post, All the poetry here is well designed and decorated with beautiful images. poetry includes heart breaking poetry, grief, love, romantic , sad and all other types of ghazals and nazms are added in this section all are designed well.

Ankhain Poetry

Dil aasaib
Najany kon sa aasaib dil main rehta ha,
jo bhi aa k thehra makaan chor gya,


Allama Iqbal

Allama Iqbal
teray aazad bandoon ki na ye dunia na wo dunia,
yahan marnay ki pabandi, wahan jeenay ki pabandi,


Thursday 7 April 2011

Sad Urdu Shair

Tum laot kar anay ka takalluf bhi na karna,
ham aik muhabbat ko dubara nahin karty,

Tuesday 5 April 2011

Urdu Ghazal

Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,

kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

Sunday 3 April 2011

Sad Urdu Poetry

Ab kay tajdeed e wafa ka nahi imkaan janaan,
yad kya tujh ko dilain tera paiman janaan,
yoon hi mosam ki ada dekh k yaad aya ha,
kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan,
zindagi tery liay thi so teray nam ki ha,
ham ne jesay bhi basar ki tera ehsaan janaan,
dil ye kehta ha k shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karain dil to ha nadaan janaan,