Sunday 3 April 2011

Sad Urdu Poetry

Ab kay tajdeed e wafa ka nahi imkaan janaan,
yad kya tujh ko dilain tera paiman janaan,
yoon hi mosam ki ada dekh k yaad aya ha,
kis qadar jald badal jaty hain insaan janaan,
zindagi tery liay thi so teray nam ki ha,
ham ne jesay bhi basar ki tera ehsaan janaan,
dil ye kehta ha k shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karain dil to ha nadaan janaan,

No comments: